Mere har ek karvato se tera nata ho,
Na koi ho mujh jaisa, jo tujhe khud se bhi zaada chahta ho.
Na koi aur ho tujh jaisa , jo bageecho mein apna ghar basata ,aur gulon se bhi rishta nibhata ho.
Jab bhi ho tu mere roobaroo,Main teri surat pe maru.
Tuhjse hi rootho, phir tujh se hi shikayat karu.
Main dubu har bar tere mohabtt main,
Har janam main teri hi ibadaat karu.
Baat lu apne hisse ki ansu, cheen lu tere hisse ka chain,
Taalshu tujhmein vo khamiyon ki naksha, jo mere andar base.
Vo kehte hai ki humare vajoodh alag, mahzab alag, toh humare yeh ehsas najayaz hai
Par Ghalib kehte hai ishq mein sab jayaz hai.
Toh ban jaun fakir, char jau suli, kar doon sab kuch tere naam?
Kyun ki tera jo rishta un gulon se, mere tujhse wahi rishta hai, jo mujhe teri ore kheech ta hai.
Janmo se toh yahi chala araha hai, jaise tu Eve, aur main Adam.
No comments:
Post a Comment